Match sunrisers Hyderabad vs rajsthan royals Royal challengers Bangalore v/s Mumbai Indians Kolkata vs royalchalangers Bangalore Lucknow vs sunrisers Hyderabad
Agar aap paytm par new hai ya aapne abhi abhi paytm app ko apne mobile par install ki he to paytm se recharge kaise kare ye sawal aapake man me jarur aa raha hoga. Wese, ise samajhna utna mushkil bhi nahi. Agar aapko paytm se recharge karna hai to koi bhi service jese postpaid ya prepaid mobile ya apne DTH ko ghar baithe hi online paytm se recharge kar sakte hai.
Kewal mobile recharge ya DTH recharge hi nahi, isse aap bohot se services k liye online payment kar sakte hai. In services mese electricity, data card bill,landline bill, gas jese services bhi maujud he. In sabhi services k liye aap bari asani se payment kar sakte hai apne paytm mobile app ya desktop website ki madat se.
Me iss post par paytm se DTH aur mobile recharge kaise kare iske do tarike dikhaunga. Pehla paytm mobile app se aur dusra iske desktop website ki madat se. But, mobile app aur desktop website dono me recharge karne ka tarika same hi he. Apko jo tarika acha lagta ho aap use chun sakte hai.
Paytm se apne mobile aur DTH ko recharge kare
Friends, iss tutorial me hum sabse pehle mobile app se recharge karne ka tarika sikhenge. Kyuki, aajkal paytm mobile phone pe jyada use hote hai. Desktop website se bohot kam hi log ise use karte hai. To chaliye niche hum paytm se recharge kaise karte hai sikh le.
Paytm se recharge kaise kare mobile ya dth ko ? (Mobile app guide)
Download and install
Sabse pehle to aap apne mobile par paytm ki app download kare aur install kare. Agar aap android phone use karte hai to Google playstore se download kar sakte hai.
App ko download aur install karne k baad simply open kare aur apna language chune. Language chunne k baad aap paytm app ko turant hi use karna shuru kar sakte hai. Aapko register karne ki jarurat nahi parti.
Agar aap new account banakar ise use karna chahte hai to paytm kya hai ? ise kaise use karte hai iss post ko parhe. Isse aapko account registration k sath iske bareme aur bhi janne ko milega.
Apna recharge option chune
Apne mobile se paytm application ko open karne k baad apna recharge option chune. Yane aap kya recharge karna chahte use chune. Agar aapko mobile recharge karna hai to MOBILE RECHARGE aur agar DTH recharge karna hai to DTH RECHARGE par tap/select kare.
Jesa k aap upar image par dekh sakte hai aapko MOBILE PREPAID, POSTPAID aur DTH ka option dikhega. Aap apne hisab se option ko chun le.
For mobile recharge
Agar aapne mobile prepaid/postpaid recharge ka option chuna hai to aapko next page par apna phone number aur recharge ammount dalne ka option dikhega.
- Pehle sabse upar aap prepaid ya postpaid number se use chun le.
- Iske baad aapko next box par apna mobile number dalna hai jise recharge karna chahte hai.
- Ab simply apne operator ko chune. For example, reliance, airtel, Vodafone etc. Wese, upar phone number dalne k baad operator details automatically select ho jata hai. Agar na ho to right side se UPDATE CURRENT OPERATOR link ko click kare aur apne network provider (operator) ko list se chun le.
- Next box par aap apna recharge amount dale. Agar aap special packs jaise 2G/3G packs, full talktime packs etc jese plans se recharge karwana chahte hai to box ke right hand side se BROWSE PLANS par click kare. Isse aap sabhi available plans aur offers ko dekh aur chun sakte hai.
- Ab sabhi details bharne k baad niche FAST FORWARD ke box par select/tick kare.
- Fast forward box par tick karne k baad niche PROCEED TO PAY yar click kare.
(Final payment process ko janne k liye niche PAYMENT karne k steps parhe.)
For DTH recharge
Agar aapne DTH recharge ka option chuna hai to aapko next page par DTH provider aur apna account details dalna parega.
Jesa k aap upar image par dekh sakte hai aapko apne DTH provider aur kuch details bharna parega.
- Sabse pehle CURRENT operator box se apne connection provider ko chun le. For example, Dish tv, tata sky, Airtel digital tv, Reliance digital tv etc.
- Next box par aapko apne set top box ki account number / customer id / smart card number / subscriber id jo bhi ho use dalna hai.
- Account details dalne k baad aapko apna recharge amount dalna hai. Agar aapko apne monthly DTH recharge pack ka amount pata hai to directly amount box par dale. Iske alawa aap right hand side se BROWSE PLANS ke link par click karke bhi apna current pack select kar sakte hai.
- Account details aur amount dalne k baad niche FAST FORWARD box par tick/select kare.
- Fast forward par tick karne k baad simply niche PROCEED k button par click kare.
(Payment karne k liye niche payment steps parhe)
Payment karne k steps
Yahatak process alag alag the isiliye mene dth aur mobile recharge k liye alag alag se aapko samjhaya hai. But, payment karne k liye process sabhi k liye same hi hai. So, niche jo payment karne ki steps aapko bataunga wo mobile recharge aur DTH recharge dono k liye same hi hai.
For mobile prepaid/postpaid
Agar aapne mobile prepaid/postpaid recharge ka option chuna tha to mobile number aur amount dalne k baad niche aapko PROCEED TO PAY ka button click karna tha. Simply proceed to pay k button ko click karne k baad niche diye payment steps ko follow kare.
For Dth recharge
Agar aapne DTH ka option chuna tha to aapko account details aur amount bharne k baad niche proceed par click karna hoga. Proceed par click karne k baad niche diye payment steps ko follow kare.
Apne debit card se payment kare
Finally, PROCEED TO PAY ya PROCEED par click karne k baad aapko paytm par DEBIT CARD se payment karne ka option dikhega.
Upar image par aap dekh hi sakte hai k aapko apne debit card ki details dalna hoga. So, ek ek kar apne debit card ki details bhare.
- Sabse pehle apne debit card ki number dale.
- Iske baad aapko card ki expiry date dalna hoga. Expiry month aur year aapko apne card ke front side (saamne) par dikh jayegi. Jyadatar CARD NUMBER k niche VALID THRU ka ek text hota hai jiske saamne expiry month aur year likha hota hai.
- Expiry month aur year dene k baad niche aapko CVV number daalna hai. Ye CVV number 3 digit ka hota hai jo card k back side (piche) par aapko mil jayega.
- Sabhi card details daalne k baad now simply niche PAY NOW k button par click kare.
PAY NOW k button par click kare k baad aapko ek new page dikhega jaha aapko apne card ki security password dalna parega.
Jesa k aap upar dekh sakte hai meri debit card visa ki he. So, mujhe verified by visa ki taraf se ek security page show ho gaya. Iss page par mujhe apne card ki online security password dalna parega. To, simply PASSWORD box par apne debit card ki password dale. Iske baad paytm se mobile ya DTH recharge success ho jayegi.
Note: Aapki card visa ki ho ya maestro ki aapko ek securuty page jarur dikhega jaha aapko apni card ki password dalna parega. So, agar aapane abhitak password create nahi ki he to aapko new password create karne k liye ek link dikhega jisse aap apne debit card k liye new password bana sakte ho.
Agar NEW password ka link nahi dikhe to aap FORGOT PASSWORD k link se bhi apne ATM pin ke istemal karke password create kar sakte hai. Agar aapko koi bhi pareshani ho to apne bank branch se sampark kare.
Finally, aapko pata chal chuka hai k mobile ya dth ko paytm se recharge kaise kare. Ye tutorial thi paytm app ki. Agar aap iske website se recharge karna chahte hai to niche steps follow kare.
Paytm se recharge kaise kare desktop website ki madat se
Paytm ki desktop website ki madat se payment karna bhi bohot assan hai. Agar simply kahe to mobile app aur iske website me koi farak hi nahi he. Fir bhi agar aapko iske website se apne mobile ko recharge karna chahte hai hai to aap niche steps ko follow kar sakte hai.
Step 1:
Sabse pehle aap apne computer ya lapto se paytm ki website par jaye. Website par jane k baad aapko home page par PAYTM LOGO k niche sare options dikhenge jiske liye aap recharge ya payment kar sakte hai.
Jesa k aap upar image par dekh hi sakte hai aapkomobile, DTH, electricity, datacard, landline, gas etc ke options dikhenge.
Ayehuwe options mese agar aapko mobile postpaid ya prepaid ke liye recharge karna hai to simply MOBILE par click kare. Agar DTH service ke liye payment karna hai to DTH par click kare.
Enter mobile details
Mobile par click karne par aapko number, operator, amount chunneka box dikhega.
- Sabse pehle upar image par 2 number arrow se PREPAID ya POSTPAID use chun le.
- Now, simply apna mobile number dale.
- Ab apne network operator ko chun le.
- Ab recharge amount dale.
- Sabhi details bharne k baad FAST FORWARD k box par tick kare.
- Sab hone k baad RECHARGE NOW ke button par click kare.
Apna payment process pura kare
Jesa k humne upar mobile app se payment karne ka tarika bataya tha wese hi iske website par bhi aapko select a payment methode ka page dikhega. Mayment methodes mese aapko DEBIT CARD par click karna hai.
Debit card par click karne k baad aapko kuch options dikhenge jinhe bharna hoga.
- Sabse pehle debit card ka number dale.
- Ab jesa mene pehle bataya tha wse card ki expiry month/year aur CVV code dale.
- Sabhi details bharne k baad niche PAY NOW par click kare.
Now, pay now par click karne par paytm aapko apne card ki security page par le jayega. Iss page par aapko debit card ki password dalna parega. Visa debit cards k liye verified by visa ka page aata hai jaha se card ki password dalna parta hai.
Iske bare me maine upar mobile app se payment karte samai atche se bataya hai. Aap use parh le, kyuki payment process mobile app aur website dono me same hi hai.
Ab sahi debit card password dale k baad SUBMIT par cick kare. Aapki online recharge successfully copleate ho jayegi. To, now aapne paytm se recharge kaise kare iska dusra tarika bhi jaan liya hai.
Note: Agar aap DTH ko online recharge karna chahte hai to home page ke upar navigation se DTH par click kare. Dth par click karne par aapko account details dalne ka options dikhega. Simply, apne set top box ka account number, provider aur amount chune aur niche RECHARGE NOW par click kare.
Iske baad, aapko payment karne k liye payment page dikhega jaisa k mobile recharge karte samai humne upar dekha tha. So, paytm par debit card se payment karne k liye upar dikhaye same steps ko follow kare.
Final words on paytm recharge tips
Friends, upar humne sikha k mobile ya dth ko online paytm se recharge kaise kare. Agar post se related koi bhi sawal ho to aap hume niche comment jarur kare. Hum aapki madat jarur karenge.
Comments
Post a Comment