Skip to main content
 Match  sunrisers Hyderabad vs rajsthan royals Royal challengers Bangalore v/s Mumbai Indians Kolkata vs royalchalangers Bangalore Lucknow vs sunrisers Hyderabad

Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare

Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare – Bank Me Rupaye Transfer Karne Ka Tarika


Aaj hum jaanenge Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare aur Bank Me Rupaye Transfer Karne Ka Tarika. Aaj ke time me mobile hum sab ki jindagi ka ahem hissa ban chuka hai. Pichle ek saal me mobile ki duniya me bahoot se badlav aaye hai. Agar ek minut ke liye bhi mobile hum se dur hojata hai to aisa lagta hai ki pata nahi kis cheej ki kami aagayi hai hamari jindagi me.
Aaj hum bat kar rahe hai airtel money ke baare me. Bahoot se log iska istemal to karte hai lekin unhe puri jaankari nahi hoti ki kis tarah airtel money me rupay jama kiya ja sakte hai. Kis tarah airtel money ke dvara kisi ke bank aacount me rupaye jama kiye jaate hai. Kis tarah airtel money ke dvara mobile recharge kiya jaata hai. Aaj hum apko in sabhi batoon ki jankari is post me denge. Taaki aap apne mobile se hi kahin se bhi kisi ko bhi mobile recharge kar sakte hai. Kahin se bhi kisi ke bhi account me paise daal sakte hai. Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare.

Bank Me Rupaye Transfer Karne Ka Tarika
To sabse pehle hum apko batayenge ki aap apne airtel money me kis tarah online rupaye jama karva sakte hai. Airtel money me rupay jama karvane ke liye apko airtel ka number airtel money me register hona chahiye. Agar aap apna airtel ka number airtel money me register karvana chahte hai to http://www.airtel.in/money/ yahan click kare. Ya fir apne airtel sim se *400# number dial karke bhi apna number register karva sakte hai.

Jab apka mobile number airtel money me register ho jaaye to isme apni jarurat ke anusaar rupaye jama karva sakte hai. Aap chahte to apne shehar gavan me airtel office me jakar rupaye jama karva sakte hai. Ya fir apne atm card ke dvara online bhi rupaye jama karva sakte hai. Yahan humne apko airtel money me online ke dvara rupaye jama karne ka tarika bataya hai. Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare.
Airtel money me online rupaye jama karvane ke liye yahan click kare http://www.airtel.in/personal/money/load-cash airtel ki site par jaaye or chitra ke anusar apna airtel mobile number daal kar submit par click kare.
Iske baad chitra ke anusar utni amount likhe jitni aapko apne airtel money me chahiye. Amount likhne ke baad chitra ke anusar debit card par click kare. Uske baad next par click kare. Agar aap net banking ke ya fir credit card ke dvara rupaye transfer karna chahte hai to aap use bhi select kar sakte hai.
Ab chitra ke anusar submit par click kare.
Ab apke samne ek window khulegi jisme apko atm card ki puri detail bharni hai. Puri detail bharne ke baad chitra ke anusar make payment par click kar de.
Click karne ke baad apke samne successful  ka message aa jayega jaise aap chitra me dekh rahe hai. Itna karte hi aapke rupaye aapke airtel money account me jama ho jayega jiska istemaal aap mobile ya dth recharge karne me kisi ke bank account me rupaye transfer karne ke liye ya fir koi bill jama karne ke liye kar sakte hai. Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare.
Transfer airtel money through android mobile app
Yahan hum apko airtel money app ke dvara rupaye transfer karna bata rahe he. Iske liye aap android mobile me airtel money app play google se downlaod kar sakte hai.
Download hone ke baad ise install kare aur open kare.
Airtel money app open karte hi aapke chitra ke anusar aapke airtel money ka balance aur recharge, transfer money, pay bill, pay at shop vaale options aayenge jaisa aap upar chitra me dekh rahe hai.
Hum sabse pehle bank account me rupaye transfer karne ka tarika batate he. Bank account me rupaye transfer karne ke liye transfer money par click kare. Click karte hi aapke samne send to airtel money account aur send to bank account  se do option khulenge yahan apko send to bank account  vala option select karna hai.
Iske baad us bank account ko select kare jisme apko rupaye transfer karne hai. Agar di gayi list me apki pasand ka bank nahi hai to aap other banks vaale option ko bhi select kar sakte hai.
Ab chitra ke anusar puri detail bhare. Chitra me humne apne bank account ka detail bhara hai. Detail bharne ke baad next par click kare.
Ab chitra ka anusar apne airtel money ka mpin dale.
Mpin daalte hi aapke samne transaction successful ka message aa jayega. Yaani aapne jitni amount bank me transfer kari hai vo transfer ho chuki hai. Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare.

Airtel Money Se Mobile Recharge Kaise Kare
Ab agar aap airtel money se apna ya kisi ka bhi mobile recharge karna chahte hai to chitra ke anusar recharge par click kare.
Ab prepaid par click kare.
Agar apko apne hi number par recharge karna hai to self par click kare varna other par click karke operator select kare aur amount daale jitne ka apko recharge karna hai.
Ab airtel money ka mpin daal kar confirm par click kar de click karte hi apka mobile recharge ho jayega.
Is tarah aap kahin se kabhi bhi kisi ka bhi mobile recharge kar sakte hai aur kisi ke bhi bank account me rupaye transfer kar sakte hai.

Comments

Popular posts from this blog

 Match  sunrisers Hyderabad vs rajsthan royals Royal challengers Bangalore v/s Mumbai Indians Kolkata vs royalchalangers Bangalore Lucknow vs sunrisers Hyderabad

FIVERR PE ACCOUNT BANANE KA TARIKA. HINDI

< dir="ltr" style="text-align: left;" trbidi="on"> Fiverr Par Apna New Account Kiase Banaye Hi friend Aaj main ye btane wala hu Fiverr kya hota hai. Apne Fiverr ke bare me to internet pe naam suna hi hoga.Fiverr hum kaisepaise kama sakte hai. Aur aap sochte honge Fiverr kya hai ?Chaliye Mai Bata raha hu Aap post ko ache se padhe apko samjh aa jayegi.. Mai simple bhasa me kahun to ek online bazar hai jaha par sevaye bechi or kharidi jati hai. Lekin fivere ke khas bate ye hai yeha sirf 5$ ka sab kuch hota hai. Internet par hazaro logo ko kuch chahiye kisi ko. Facebook like, Koi video banwana chahta hai, to ko photos. Koi mobile apps banwana chahta hai or ko website design.Ye sab Fiverr par jakar dhundte hai koi inka kam kar de. Agar aapko Kuch karna aata hoga to fiverr par paise kama sakte hai kisi ka kam karke. Fiverr Par Account Kaise Banate Hai Janiye Sabse pahle to aapko fiverr ki official website par jana hota hai. Official

Aadhar Card Ke Liye Online Apply karne ka tarika

Mai Aapko Bataunga Ki Aap Kaise Online Aadhar Card Ke Liye Apply Kar Sakte Hai. Aadhar Card Ek Identity Proof Hai, Jise Indian Government Ne Compulsory Kar Diya hai,  Yaani Bina Aadhar Ke Aap Kai Kaam Nhi Kar Sakte. Esliye Aaj Ke Time Me Aadhar Card Hona Bahut Important Hai,  Kai Logo Ne To Aadhar Card Banawa Liya Hai,  But Kuch Logo Ko Abhi Bhi Aadhar Card Banane Ki Puri Jaankari Nhi hai,  Esliye Mai Aapko Ek Easy Process Bata Rha Hu,  Jisse Aap Aadhar Card Banawa Sakte Hai, Aadhar Card Ka Full Registration Online Nhi Ho Sakta,  Kyuki Yah Hamara Finger,  Eye,  Scan Karta Hai, Esliye Eske Liye Aapko Aadhar Centre Jana Hoga. Ab Yah Process Aur Easy Ho Gya Hai,  Yaani Aap Ghar Bethe Aadhar Centre Me Appointment Le Sakte Hai. Puri Process Ke Liye Es Article Ko Padhte Jayiye. Aadhar Card Me Like Online Apply Kaise Lare Aadhar Card Ke Liye Online Appointment Kaise Le. 1. Sabse Pahle Es Link Par Jakar Online Appointment Form Bhare. https://appointments.uidai.gov.in 2. Yahan Aapko