Skip to main content
 Match  sunrisers Hyderabad vs rajsthan royals Royal challengers Bangalore v/s Mumbai Indians Kolkata vs royalchalangers Bangalore Lucknow vs sunrisers Hyderabad

Mobile Repair Kaise Kare | Mobile Sudharne Ke Tips



Mobile Repair Kaise Kare
Hello dosto! Aaj firse hum aapke liye ek naya topic lekar hazir ho gaye hain. Aaj ke iss lekh main hum aap logo ko yeh batayenge ki mobile phone ko repair kaise kiya jata hain. Wese toh mobile phone ke bahut sare part hote hain aur inn sare part ko repair karne ka tarika alag alag hota hain. Toh ek lekh main hum aap logo ko mobile phone ke sare part ko repair karne ka tarika toh nahi sikha sakte lekin aaj hum mobile phone ke ek part ko repair karne ka tarika zarur sikha sakte hain. Isiliye aaj hum aapko yeh batayenge ki mobile phone ke keypad ko thik kaise kiya jata hain. Toh dosto ab aap log zara bhi time waste mat kariye aur niche diye gaye tariko ko zara dhyan se read kariye.

Mobile Repair Kaise Kare – Mobile Sudharne Ke Tips
Mobile se abhipraye hai, band mobile me bettery lagakar switch on karne par mobile koi karya nahi karta hai. Aapka mobile kisi bhi mobile company ka ho. Aaiye jane Mobile Repair Kaise Kare Samasya Aur Samadhaan. Mobile Sudharne Ke Tips – Hindi Me.

Band mobile ki kharabi band mobile ki kharabi ki pehchaan kaise kare?
  • Band pade mobile me full charge battery lagaye.
  • Mobile ko switch on kare.
  • Jitni baar switch on karna chahte hai kare.
  • Yadi mobile kai koshishon ke bavjud on nahi hota hai to ab mobile set ko khole.
Band (dead) mobile ki khrabi ka solution. मोबाइल रिपेयर कैसे करे?
(check kare mobile pcb plate shot hai ya dead )
  • Sabse pehle multimetter se check kare ki mobile pcb plate shot hai ya nahi.
  • Multimeter ko bajar mod par rakho aur bettery connector ke + aur – point ko check karo.
  • Agar beep bajti hai to mobile pcb plate shot hai.
Yadi mobile pcb plate shot nahi hai to is kharabi ab is prakar se aage step baayi step theek kare.
Battery connector ke point ko multimeter se check kare pcb plate se sahi juda hai ki nahi.

  • Battery ka volt check kare, 3.7 volt se kam ho to battery ko full charge kare aur fir lagaaye.
  • Kisi chalu mobile ki battery ko lagataar check kar le.
  • Battery aur battery connector ke point ko scratch aur saaf kare.
  • Battery connector naya lagaaye.
  • Mobile pcb plate ko acchi tarah se wash kare.
  • Mobile ko charging me lagao aur dekho battery charge ho rahi hai ya nahi.
  • Agar charging ho raha hai icon screen par pradarshit hota hai lekin mobile on nahi ho paata hai to.
  • On-off switch par 2 se 3.5 volt nahi aa rahe hai to battery ke + point se judi coil check karo.
  • On -off switch ko scratch aur saaf karo. Kharab ho to change karo.
  • On/off switch ke pass lage resistance aur On/off switch ke track ko check kare. Track ka connection tuta hua hai to jumper kare.
  • Uem(power) ic ke pass vaale parts ko check karo. Uem(power) ic par packing lagao.
  • Yadi on/off switch par 2 se 3.5 volt ke beech me aa raha hai to mobile me naya software chadaye.
  • Mobile software flash hone ke beech me error aakar ruk raha hai to kai baar koshish kare.
  • Fir bhi software flash nahi ho raha hai to flash ic (memory/eprom ic) ko hit kare, uske baad fir flash kare.
  • Flash ic ko revolve aur change kare aur fir flash kare.
  • Ab bhi software flash nahi ho raha hai to cpu par packing lagaye.
  • Software flash karne ke baad bhi mobile switch on nahi ho paata hai to power ic aur cpu par hit de.
  • Power ic aur  cpu par hit dene par bhi kharabi theek na ho to power ic ko reboll aur change kare.
  • Uske baad bhi kharabi theek na ho to cpu ko reboll aur change kare
Mobile phone ke keypad ko repair karne ka tarika
Step 1: Sabse pahle aap apne mobile phone ko dhyan se khole. Chahe mobile kisi bhi company ka ho, magar aapko iss baat ka khas taur par dhyan rakhna hoga ki mobile ko kholte samay aapke mobile ko kisi bhi tarah ka nuksan nahi hona chahiye.
Step 2: Mobile phone ko kholne ke baad sabse pahle aap keypad ke upar jo rubber ka button hain unko nikale aur fir uske niche jo (circle) gol akar ka copper ka button hain unko dekhe.
Step 3: Ab aap yeh check kar le ki buttono ke upar kahi carbon toh nahi laga hua hain. Sath sath aap yeh bhi check kar le ki buttons ka connection kahi tuta toh nahi hain. Kyuki mainly inhi dono karan se mobile phone ka keypad kharab hota hain.
Step 4: Agar aapke mobile ka ek button work nahi kar raha hain toh (circle) gol akar ka jo button hain usko twizzer ke sahare crash kare yane ki usko twizzer ke sahare ghise. Aur ha, iss kshetra main aap kisi aur upkaran ka sahara lekar bhi button ko ghis sakte hain. Lekin aap jo tambe jaisa dikhai deta hain, usko hi ghise warna button kharab ho sakta hain.
Step 5: Wese toh button ko crash karne se aapki keypad ki problem solve ho jani chahiye lekin agar fir bhi aapki problem solve na ho toh aapko ctc ka pani ya ip ke pani ka istemaal karna hoga. Aap button ke upar ctc ka pani ya ip ka pani daal de. Pani ko button ke upar daal dene ke baad aap button ko brush ke dwara acchi tarah se saaf kar le.

Step 6: Jab aapka button saaf ho jayega tab aapka button kaam karne lagega. Lekin agar fir bhi aapka keypad kaam na kare toh aap keypad ka connection check kar le. Agar connection tuta hua ho toh aap usko jumper kar le. Jumper karne ke baad aapke mobile phone ka keypad kaam karne lagega.
Step 7: Agar itna karne ke baad bhi aapke mobile phone ka keypad kaam na kare toh aapko naya keypad kharidne ki zarurat paregi.
Upar ke lekh ko padhne ke baad agar aap log yeh acchi tarah se samajh chuke hain ki mobile phone ke keypad ko repair kaise kiya jata hain toh aap log bina zada kuchh sonche aur time waste kiye inn tricks ko follow kariye. Ummid karte hain inn tricks se aur iss lekh se aap logo ko fayeda zarur hoga aur aap log apne mobile phone ke keypad ko repair karne main zarur safal ho jayenge.


Comments

Popular posts from this blog

 Match  sunrisers Hyderabad vs rajsthan royals Royal challengers Bangalore v/s Mumbai Indians Kolkata vs royalchalangers Bangalore Lucknow vs sunrisers Hyderabad

FIVERR PE ACCOUNT BANANE KA TARIKA. HINDI

< dir="ltr" style="text-align: left;" trbidi="on"> Fiverr Par Apna New Account Kiase Banaye Hi friend Aaj main ye btane wala hu Fiverr kya hota hai. Apne Fiverr ke bare me to internet pe naam suna hi hoga.Fiverr hum kaisepaise kama sakte hai. Aur aap sochte honge Fiverr kya hai ?Chaliye Mai Bata raha hu Aap post ko ache se padhe apko samjh aa jayegi.. Mai simple bhasa me kahun to ek online bazar hai jaha par sevaye bechi or kharidi jati hai. Lekin fivere ke khas bate ye hai yeha sirf 5$ ka sab kuch hota hai. Internet par hazaro logo ko kuch chahiye kisi ko. Facebook like, Koi video banwana chahta hai, to ko photos. Koi mobile apps banwana chahta hai or ko website design.Ye sab Fiverr par jakar dhundte hai koi inka kam kar de. Agar aapko Kuch karna aata hoga to fiverr par paise kama sakte hai kisi ka kam karke. Fiverr Par Account Kaise Banate Hai Janiye Sabse pahle to aapko fiverr ki official website par jana hota hai. Official

Aadhar Card Ke Liye Online Apply karne ka tarika

Mai Aapko Bataunga Ki Aap Kaise Online Aadhar Card Ke Liye Apply Kar Sakte Hai. Aadhar Card Ek Identity Proof Hai, Jise Indian Government Ne Compulsory Kar Diya hai,  Yaani Bina Aadhar Ke Aap Kai Kaam Nhi Kar Sakte. Esliye Aaj Ke Time Me Aadhar Card Hona Bahut Important Hai,  Kai Logo Ne To Aadhar Card Banawa Liya Hai,  But Kuch Logo Ko Abhi Bhi Aadhar Card Banane Ki Puri Jaankari Nhi hai,  Esliye Mai Aapko Ek Easy Process Bata Rha Hu,  Jisse Aap Aadhar Card Banawa Sakte Hai, Aadhar Card Ka Full Registration Online Nhi Ho Sakta,  Kyuki Yah Hamara Finger,  Eye,  Scan Karta Hai, Esliye Eske Liye Aapko Aadhar Centre Jana Hoga. Ab Yah Process Aur Easy Ho Gya Hai,  Yaani Aap Ghar Bethe Aadhar Centre Me Appointment Le Sakte Hai. Puri Process Ke Liye Es Article Ko Padhte Jayiye. Aadhar Card Me Like Online Apply Kaise Lare Aadhar Card Ke Liye Online Appointment Kaise Le. 1. Sabse Pahle Es Link Par Jakar Online Appointment Form Bhare. https://appointments.uidai.gov.in 2. Yahan Aapko