Match sunrisers Hyderabad vs rajsthan royals Royal challengers Bangalore v/s Mumbai Indians Kolkata vs royalchalangers Bangalore Lucknow vs sunrisers Hyderabad
FACEBOOK ACCOUNT KO DELETE AUR DEACTIVATE KASE KARE
Dosto, hum Facebook k upar bohot se post kar chuke he. Inmese last week humne aapko bataya tha k apna
Facebook ek aesi site hai jispar abhi ke time me agar koi net use karta hai to uskafacebook par 100% Accounthoga. Kuch surveys ke hisab se average ek admi 23 minute Facebook chalata hai ek din me.
Friends, mujhe nahi pata k aap Fb profile ko band karna kyu chahte ho. Lekin, kabhi kabhi ye jaruri bhi hota he. Hum aaj internet aur social networking sites se aise jur chuke he k inke bina reh nahi pate. Sabse jyada problems to tab hoti he jab exams najdik hote he aur hum Facebook account pe chatting karne k bareme sochte rehte he. So, isse apke exams par asar to jarur parne wala he.
Kher, problems jo bhi ho agar aapko bhi Facebook account delete kaise kare ye janna he to aap sahi jagah par ho. Iss post pe me do tarike bataunga jisse Account ya profile ko deactivate aur delete kia jaa sakta hai. Lekin, isse pehle ye jaan le k deactivation aur delete k bich antar kya hai.
DEACTIVATE AUR DELETE ME ANTER
facebook account delete kaise kare ye janne se pehle deactivate aur delete k bareme jaan le. Hum sabhi jante he k social networking sites me Facebook ek bara naam he. Aur ye apne user k liye bohot se options bhi rakhta he jisse hum kisi bhi chiz ko assani se kar sake. To, jaab baat ati he apne ID, PROFILE ya Account ko band karne ki tab aapko do tarah k options milte he.
*ACCOUNT DEACTIVATION
*ACCOUNT DELETE
# DEACTIVATE.
aap apna Facebook account band karna chahte he lekin aapko lagta he k future me wapas aa sakte he to deactivate ka option hi chose kare. Isse agar aap kabhi bhi Facebook pe wapas ana chahe to new account banane ki koi jarurat nahi paregi.
Account deactivation se apki timeline kisiko nahi dikhegi. Lekin aapki baki details jese photos, friends and other information saved rahegi. Iss doran log aapko posts pe tags bhi kar payenge lekin iske bareme aapko jankari nahi milegi.
Ye option sabse best he agar aap dobara wapah ana chahe. Deactivate karne k baad wapas account activate karne k liye sirf login details bharna hota he. Yane jab aap firse apne Facebook profile pe login karoge to aapki account activate ho jayegi aur log aapko wapas se dekh payenge.
#DELETE
Jesa k aapko naam se hi pata chal raha he iss option se aapki Facebook account puri tarah se delete ho jayegi. Ekbar process hone k baad aap wapas apne profile ko nahi chala paoge. Agar apko firse Facebook chalana he to new account banani paregi.
FB ACCOUNT DEACTIVATE KARNE KA TARIKA
Agar aap is process ko mobile se karna chahte he to iske liye options same hi rahenge. Sirf sabse pehle ACCOUNT SETTINGS pe jaye aur baki niche ki process follow kare.
sabse pehle apne mobile me ya laptop ke browser per jaye www.facebook.com per jao
Iske baad apna account details dale aur log in kare. Login karne k baad Home page ke upar ki taraf right side pe ek down arrow ka button/icon dikhega. Iss arrow k option pe click kare. Click karne k baad apko bohot se links dikhenge jinmese SETTINGS k option ko chune. Atche se samajhne k liye niche image ko dekhe.
aapko left hand side pe SECURITY ka ek option dikhega jise hume click karna hai. Click karne k baad SECURITY SETTINGS ke sare links aapko dikhenge. In links mese sabse last me deactivate your account ka option dikhega. Now ispe click kare aur age barhe.
Link pe click karne k baad Facebook aapko kuch text dikhayega. In text pe aapko bataya jata he k account ko band karne par kya hota he. For example, aapki profile disable hona ya aapki name aur photo kisiko na dikhna etc.
jesa k aap upar image pe dekh rahe hai Deactivate your account ka link aapko firse dikhega. Bas is link ko click kare.
Apna password dale: Next, aapko ek page dikhega jaha password pucha jata hai. Yane isse final verify kia jata he k aap kya sachme apna Facebook account deactivate karna chahte hai. To, simply box pe apna account password dale aur CONTINUE pe click kare.
LAST STEP FOR DEACTIVATION
Chaliye now aapko apni Facebook id band karne k liye final step ko pura karna hai. Iske liye aapko ayehuwe page se kuch sawalo k jawab chunne he. Tension na le, ye apke exams ke wo khatarnak questions nahi he. Simple profile se related prashna he jiska asani se jawab diya ja sakta he.
step1Sabse pehle aapko pucha jata he REASON for leaving. Yane aap kis wajah se Fb account band karna chahte ho.
step2.Iska jawab dene k liye bohot se options aapko dikhenge. Simply last k OTHER, please explain further ka option chune.
step3Option ko chunne k baad explain further box pe aap facebook kyu deactivate karna chahte ho uska karan likhe. Iske liye koi sa bhi karan likhe jo aapko acha lagta ho.
Next, text box pe karan likhne k baad niche aye. Niche 2 aur options dikhenge.
#Email opt out, aur
#Messenger
options ko select kare take aap puri tarah se account ko deactivate kar sake. Isse koi bhi event ya notification k bareme aapko bataya nahi jayega. Yane, agar koi friend aapko kisi photo pe tag karta he ya kisi group pe invite karta he to wo aapko pata nahi chalega.
Now, DEACTIVATE ka button click kare. Congratulations, aapki Facebook account deactivate ho chuki he. Chaliye niche hum jaan le Facebook account delete kaise kare puri tarah se.
Agar aap wapas apne profile ko active karna chahe to sirf login kare. Isse aapki account firse active ho jayegi.
FB ACCOUNT DELETE KARNE KA TARIKA
Agar aapko apni Facebook profile ya ID ko puri tarah se delete karna he to iska upay mere paas he. Lekin, dhyan rahe jesa mene aapko pehle hi kaha tha k Delete hone k baad aap apne profile pe wapas login nahi kar paoge.
Sabse pehle aap apne Facebook account pe login kare. Login karne k baad iss link pe jaye
Link pe jane k baad aapko ek box dikhega jaha aapko Delete karneka option dikhega. Apko niche diye image ki tarah kuch dikhega.
DELETE MY ACCOUNT pe click kare aur age badhe.
LAST STEP.
aapko ek aur box dikhega jaha kuch details bharna he.
*In details mese pehle aapko apni password bharni he.
*Password ko bharne k baad niche captcha text dikhega. Inn captcha text ko niche text in the box pe sahi tarah se bhare.
*Atche se captcha ko box pe bharne k baad niche OK button pe click kare.
aapki FB account puri tarah se yane permanently delete ho chuki he. Lekin dhyan rakkhe k prifile ko delete hone k liye 14 days tak lag sakte he.
Iss dauran agar aap apne profile pe wapas login karte he to aapko DELETION CANCEL karne ka option dikhega. Yane agar aap apna request cancel karna chahe to wo bhi kar sakte he.
DISCRIPTIONO
TO DOSTO AAJ MAINE AAP KO FB ACCOUNT DEACTIVATE KARNE AUR ACCOUNT DELETE KARENE KE BARE ME BATIYA
Comments
Post a Comment